Jaun Elia's Ghazal Naya ek rishta paida kyun karen hum - Jaun Elia
|
Naya ek rishta paida kyun karen hum - Jaun Elia |
|
Naya ek rishta paida kyun karen hum - Jaun Elia |
Jaun Elia's Ghazal Naya ek rishta paida kyun karen hum - Jaun Elia
Naya ek rishta paida kyun karen hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karen hum
Khamoshi se adaa ho rasm-e-duuri
Koi humgama-barpa kyon karen hum
Ye kaafi hai ke hum dushman nahi hain
Wafaadari ka daava kyon karen hum
Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karen hum
Suna dain ismat-e-Maryam ka qissa
Par ab iss baab ko waa kyon karen hum
Zulekhaa-e-Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karen hum
Hamari hi tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karen hum
Kia tha ehad jab lamhon mein hum nay
To saari umar eefa kyon karen hum
Nahi dunya ko jab parwaah hamari
To phir dunya ki parwaah kyon karen hum
Barehna hain Sar-e-Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karen hum
Hain baashinday issi bassti ke hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karen hum
Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karen hum
Ye basti hai muslamaanon ki bassti
Yahan kaar-e-maseeeha kyon karen hum
Comments
Post a Comment